Wednesday, November 9, 2011

Bachpan - wana go back in time :)



Aake roya me bhi tha, sab kuch anjaan hi saa tha,
Do haathon ki thi zamiin, aur paalnaa tha aasmaa,
Ek ajeeb sa tha din,cheekhon pe meri Maa bhi thi hasii,
Mere aangan ki pehli seher, Aur me parinda tha naya,


Kuch aur badh gaya tha me,Maa ke daman se baahar,
Khwahishon  jitna hi lamba tha aage ka safar,
Kabhi buzurgon ki duaein, kabhi ek thappad bhi tha padaa ,
Har daant thi ek Sabak, aur me parinda tha naya,


Badaa hona kisko tha ,Bachpan khona kisko tha,
Na koi kissa fikarmand tha, na koi aadat samajhdaar ,
meri hasi hi thi bas sabke  swaaloon  ka jawaab , 
zindagi kahaan thi mujhse naaraaz , jab me parinda tha naya,



2 comments:

  1. awesome.. d words make us feel dat v r back to childhood.. seriously great work!

    ReplyDelete
  2. specially like the part "1 thappad bhi pada tha" :)

    ReplyDelete