Friday, October 31, 2014

Mora des kabhi tha............

Mora des kabhi tha choot gaya zanjeeron se
Ab na bandho ise fir jhuti lakeeron se,
Usko to bas mitti ki pehchaan har insaan me,
Tu hi Ram Raheem kehta firta hai.

Mora des kabhi itraata tha ek hindustaan kehlanee par,
Ab na todoo ise rang dhang ki bhasa me,
Usko to bas maloom tha laal rang hi kurbaani ka,
Tu hi haraa kesariya karta firta hai.

Me kahu sab mera hai ,tu kahe sab tera hai,
Jab hawaa nahi meri teri, fir dhoop chaaw ka hissa kyun,
Sab haath uthe bhagwan bhagwan, koi dua kare maula maula,
Jab hraday se tu saaf nahi,wo sune dard ka kissa kyun,


4 comments:

  1. lajawaab bhai...
    dil se nikli lagti hai...
    n so true

    ReplyDelete
  2. hahaha, yes dil se hi nikalti hai jab ye harkatein hoti hain, but kaun samjhaye aur kese that is the question

    ReplyDelete